By Ashish Kumar Rana
Pata hai mein kya chahta hun tumse, tumhe jabhi Jana ho chhod ke, toh bata kar mat jana bss achanak se gayab ho jana...
haan, mein tumhe dhundenge shayad pagalo ki tarah dhundhu lekin tabhi tum mujhse mat milna, haan mein puchhunga sabse, sabse puchhunga ki meri samaa ko dekha hai kahin aur mein uss samay bss yahi umeed karunga ki koi mujhe tumhara pata naa bataye....
Fir mein tumhe mahino tak yaad karunga ya shayad Kai ek saalo tak lekin fir bhi tum wapas mat aana, fir mein isse ek khubsurat sapna samjhne lagunga aur jis baat ko mein din raat yaad kiya karta tha ab shayad usse bss uss samay yaad karun jab mein akele hunga aur bar bar bss yahi sochunga ki kya wo khubsurat sapna dubara aayegi kya wo sapna ka koi ant tha jisko mein kabhi nahi dekh paya aur kya wo asal me sapna tha ya hakikat....
Ab mein itne sare sawal ke sath apne bejar zindagi wapas lautne lagunga lekin fir bhi tum wapas mat aana. Haan, ye wahi zindagi hogi jisme mujhe mera akele pann bss andhar hin andhar khata hai aur jahan logo ke bich reh kar muskurate hue mann me bss fir se yahi sochunga ki ye zindagi ka ant kab aayega aur haan, mein ussi zindagi me shayad wapas laut jaaunga jisme me mujhe khule asaman ke niche bhi thodi ghutan si mehsus hoti hai...
Mujhe lagta hai tabtak toh mere dil aur dimag ko iss chiz ka aadat pad chuka hoga aur shayad usse issi bejar zindagi se mohabbat ho chuki hogi..
By Ashish Kumar Rana
Comments