By Deepanshu Sharma
Parivartan ke iss mausam mein, aur adhik parivartan hoga

Jiski aas lagakar baithe, jisase pyaar jataakar baithe
Unhi ke liye ab marna hoga
Parivartan ke iss mausam mein, aur adhik parivartan hoga
Laakh sifarish kar lo ab tum
Kasmein waadey bhar lo ab tum
Phir bhi nahi yeh hansil hoga
Parivartan ke iss mausam mein, aur adhik parivartan hoga
Mandir-mazjid jaakar dekho
Gurudwar mein sheesh jhuka lo
Khuda, ishwar aur guruon ko ab tum kuch bhi arpan kar do
Gaya waqt na lautega
Parivartan ke iss mausam mein, aur adhik parivartan hoga
Mausam ayenge naye ab, phool bagiyon mein khilenge
Jinke liye tum marte ho woh kahin aur jaake marenge
Kyunki…
Parivartan ke iss mausam mein, bohut kuch parivartit hoga
Parivartan ke iss mausam mein, aur adhik parivartan hoga
By Deepanshu Sharma
Parivartan hi sansar ka niyam hai
Wah wah
Mazza aagaya
Kya likha hai seth ji