top of page
Noted Nest

Jimmedariyon Se Kabhi Bhaga Nahi Mai

By Prashant Sachan



Ek insaan jo sabki madad krne ke baad bhi, jab kuch asaantust rehta hai… Bhavnaayein is prakhar yakt krta hai…. 



Jimmedariyon se kbhi bhaga nahi mai, 

Raaste sab ko dikhaye hain, 

Phir Ab bhi na Jane Kyu, 

Man me kuch shankayein hain. 


Geeli mitti ke deep Bana kr, 

Dhoop chaav me unhe sukhakr, 

Tyoharon me inhe jaakr, 

Ghar Roshan banaye hain. 

Jimmedariyon se bhaga nahi mai, 

Phir bhi  kuch shankayein hain. 


Nadi setu sa khud ko Bana kr, 

Kaiyon ke Paar Lagaye hain, 

Khud ko sthir rehkr Maine, 

Logo ke Safar sajaye hain,

Phir  Ab bhi na Jane Kyu…… 

Man me kuch shankayein hain


By Prashant Sachan



1 view0 comments

Recent Posts

See All

Rain Drops

By Farinu Rain O Rain  As your drops met my eyes  You remind my past time Sitting in my couch  I see you fall from the sky  Your...

Clothes

By Snigdha Synchronizing with the current scenario of the society I've written this piece for every woman who faces these horrors every...

Comments


bottom of page