By Rashid Zahid Sarang
Aisa lagta hai, jese, Ek arsa bita kuch likha nahi,
Yaad to roz kiya, par kuch kiya hi nahi..
Kya hi kar leta zaid (Poet’s Pen name)? roz-roz likh ke,
Jin tak ye shaayri pahuchni chahiye, un tak kabhi ye pahuchti
hi nahi...
Apne khwaabo ko bunke jise apni diary me utaara karta hu,
Chaand ke mehtaab me akele apni kalam se harf ba harf jise
apni shaayari me sajaaya karta hu, apni adhuri kahaani ko
khud khyaalat me pura karta rehta hu, mai wo shaks hu jo
shaayad abhi apni tanhai se haar kar, har raat tulu-e-aftaab ka
intezaar karta hu.
Phir bhi kehta rehta hu
Ek arsa bita kuch likha nahi,
Yaad to roz kiya, par kuch kiya hi nahi..
Meri raat roz wo andhere me beeti, par wo kal ka sawera hua
hi nahi…
By Rashid Zahid Sarang
Comments