By Khan Firdous
Bachpan se sapne sajati hain betiyan,
Gudde gudiyon ki shadi rachati hain betiyan,
Khwaish na hoti hai lakhon ki unhe
Na karti hain baatein chand taaron ki betiyan.
Kyun toda unke sapnon ko; kya darr nahi hain tumhari bhi betiyan.
Kyun beti banaya le jane se pehle, kya aise hi rakhte ho apni bhi betiyan.
Hai apni to beti parayi hi hoti, par humara ghar sambhalti hain kisi aur ki betiyan.
Aaj beti kisi ki hai, kal tumhari bhi hogi; kya kahoge fir usse kyun satayi jati hain betiyan.
Armaan bohot the beti ke lekin, apni kismat ke darr se satati hain betiyan.
By Khan Firdous
Comments