top of page
Noted Nest

Aakha Humsafar

By Sumaiya Perween



Papa ne kaha tha tumhare liye nahi h...

Mummy ne kaha tha mil bhi gaya toh bhi tumhara nahi ban

paega...

Tu duniya kya kehti hai kabhi sochne ka time hi nahi mila,

baad mein pata chala ke saala poori duniya hi mere vi thi...

Na suna na samjha, roote roote laga ke bhool gaye...

Agle din pata chala ke saale ko apni kismat bana baithe the...

Raat din uski baatein karte ya usse hi baat karte rehte...

Na sone ka hosh tha na jaagne ki khwaahish...

Kyunki sapne mein bhi tha aur haqeeqat mein usse paane ki

zidd thi...

Uske saath rehna tha, uske paas rehna tha...

Aise zidd kabhi sapne mein bhi nahi ke the...

Pata chala ke mera yakeen hi sapne se uth chuka h...

Kyunki mila tha koi mujhe isse pehle bhi...

Jiske liye sote the taaki sapne mein usse mil saku...

Lekin kaafi waqt ke baad pata chala ke, usse bhoolne ke liye

sone lage the...

Par ek din khud se pyaar karna chahte the...

Khud ko sapne mein nahi haqeeqat mein milna chahte the...

Tu soch chhod hi dete hain, kya hi kho baithenge...

Chhodne ke baad pata chala ke, ek awaaz hi kho baithay

hain...

Woh awaaz bachpan tha mera, yakeen tha ke mujhe pe bhi

koi yakeen karta hai...

Sabko laga ke, main ab khush hoon...

Awaaz ko laga ke, main ab azaad hoon...

Par main ab kya hoon?...


Zindagi tu aage badhti chali gayi, lekin main...

Nahi ruke...

Na uss awaaz ka intezaar kiya, aur na kabhi umeed ke...

Socha ke chalo ab raasta khaali h, tu bas uspe nikal parte h...

Na koi puchega, na koi sochega...

Lekin chalte chalte takra baithe kisi se...

Yeh vh tha jo aaj mera humsafar hai...

Mera haath thamkar mujhse kaha ke, main hoon na...

Na jaane kyun aaj fir se yakeen kar baithe, aur chal pade

uske saath...

Pehle lagta tha mujhe ke har cheez mil sakti h, par shayad

main ismein bhi galat the...

Kuch paane ke liye bahut kuch khona padta hai...

Yeh jaane mein bahut waqt laga diya...

Aaj sab kuch kho diya hai, sirf usko paane ke liye...

Yeh tu nahi jaanti ke usko paaya h ya nahi...

Lekin ab vh mujhe jane laga h, bheed mein mujhe pehchaan

ne laga h...

Main sabse zyada sundar hoon ya nahi, nahi jaante...

Lekin uski nazar mein lag hoon sabse.....

Na jaane kab ban gaye aise...

Usko paane ki hadd zyada thi, ke pehle wale ko bhoolane ke,

nahi jante...

Safar itna mushkil hota ja raha tha ke, pehle wale ko

shukriya kehne lage the...

Kyunki agar woh itna dard nahi deta toh main shayad itni

khush nahi hoti...

Na kisi se achhe ki umeed thi, na kisi se kuch sunne ki

khwaahish...

Na jaane awaaz ko bhool gaye hu, ya uski aadaton ko...

Ya shayad usse maaf hi kar baithe hoon...

Ab poori duniya sahi aur meri kismat khoobsurat lagne lagi

hai...

Ab chalte chalte usse takraate nahi hoon, balki uske saath

chalti hoon....


By Sumaiya Perween



0 views0 comments

Recent Posts

See All

నవజీవనం

By Shaik Riyaz Basha    “బంధాలు బహు చిత్రమైనవని నీకు తెలుసా? మనం ఏదైయిన ఒక పని చెయ్యాలంటే అందులో సవాలక్ష ఆటంకాలు వస్తాయి. మరి ఆ...

Journey

By Avinash Gowda S PROFILE Avinash Script Writer | Devanahalli, Bengaluru I am an aspiring scriptwriter from Devanahalli, Bengaluru,...

Pain Paired with Perseverance

By Rishika Agarwal A couple entered a shop, and their eyes struck on an exquisite teacup. Amazed by the beauty of the teacup, they held...

Comments


bottom of page