By Rashid Zahid Sarang
Subah jo hui, mai mila ek shaqs se..
Usne pucha mujhse, "Dekhe? wo sapne jo khuli aankho se dekhne ke liye aaj-kal na-mumkin se hai,
Mile? wo logo se jinhe milna aaj-kal na-mumkin sa hai,
Kiye wo kaam? jinhe mukammal karna aaj to na-mumkin sa hai. "
Kuch der ke liye mai bas wahi khada raha uski aankhon me aankh daale hue, apne dimaag pe jor lagage wo saare sapno ko ikattha yaad karne ke liye, jo kambakht aaye to bhi adhure-adhure, bematlab se.
Yaad aaye to bas, kuch chehre jinhe dekhe arsa ho chuka hai, wo jagah jaha jaaye arsa ho chuka hai, wo kaam jo mene kabhi kiye hi nahi.
Bas itni si baat thi ki ek moti sa katra tapka uski aankh se aur wo bola "wahi chod aaya na use Zaid (Poet’s Pen name)? Sapno ki duniya me? "
By Rashid Zahid Sarang
コメント